Nazaron ka matlab shareer pe lagi yeh do aankhen yahan wahan dekhti, nahi hoti.
Nazarein
toh woh hain jo in aankhon ke peeche rehti hain,
Sochti aur
samajhti hain…
Kisine kuch
kaha toh who soch ya apna li, pasand nahi aaya toh thukra di.
Sab apni
likes aur dislikes pe hi nirbhar hai.
Kisi ko
apni nazaron se kisi ke liye chahat dikhti hai,
Uss kisiko
unn hi nazaron mein khud par aane waali qayamat dikhti hai,
Qayamat
chahat ki nahi, chahat se dur koso dur izzat ki kami dikhti hai…
Koi kehta
hai yeh sahi, koi kehta hai who sahi hai,
Janaab yahaan
toh hum khud nahi jaante ki hum kitne sahi hai…
Kisine keh
diya insaani putle ho, galtiyon ka samundar ho,
Humne bhi
maan liya, khud ko samundar…
Galtiyon ka
ya khurafaton ka woh toh waqt hi batayega…
Shayad waqt
batayega, par pehle poocha toh apni nazaron se jaayega…
Koshish hai
roz ki, apni nazaron mein kam galat hone
ki,
Gairon ki
nazarein unko Mubarak ho, yeh duniya padhi hai unke liye,
Ek hum hi
thodi na hain akele…
Nazarein
dhokha hain, Jab gairon ka aetbaar kare aur khud se na wafaa kare…
Farmabardaar
nazarein bhi koi khaas saath nahi deti…
Nazar bas
uski ho jiska sahara hai, yehi toh nazarein hain,
Yehi toh
nazarein hain, jinhein dekh kar duniya mein chalte rehne ka yakeen hai,
Aur khud ki nazaron ko nazar mein rakhne ka aasra hai…

No comments:
Post a Comment